×
Corrigir

Samajhkar Chaand Jisko

Vinod Rathod

amajhkar chaand jisko aasmaan ne dil mein rakha hai - 2
mere mehboob ki tooti hui chudi ka tukda hai - 2
samajhkar chaand jisko aasmaan ne dil mein rakha hai - 2
meri nazron se dekho toh woh mere dil ka tukda hai - 2

tere mehandi lage haathon mein jab hudi khanakti hai
toh iss gori kalaai mein yeh dil banke dhadakti hai
yeh dil banke dhadakti hai - 2
yeh chudi aashiqon ko pyar ke nagme sunati hai
suhani raat ki khamoshiyo mein heer gaati hai
yeh chudi heer gaati hai - 2
zameen par jo utar aaya yeh woh jannat ka nagma hai
samajhkar chaand jisko aasmaan ne dil mein rakha hai
mere mehboob ki tooti hui chudi ka tukda hai
meri nazron se dekho toh woh mere dil ka tukda hai

mere mehboob jaisa iss zamaane meinnahi koi
diya leke bhi dhundo toh nahi aaisa hasi koi
nahi aaisa hasi koi - 2
kabhi tuute se tuute na hamare pyar ki dori
teri chahat bhi bas mere liye anmol hai gori
badi anmol hai gori - 2
juda hum tum nahi honge humara tumse waada hai
samajhkar chaand jisko aasmaan ne dil mein rakha hai
meri nazron se dekho toh woh mere dil ka tukda hai
mere mehboob ki tooti hui chudi ka tukda hai






Mais tocadas

Ouvir Vinod Rathod Ouvir