×
Corrigir

Tumse Milke Dil Ka Jo Haal

Sonu Nigam

Aftab & Hashim:
Ishq jaise hai ik aandhi, ishq hai ik toofaan
Ishq ke aage bebas hai, duniya mein har ilzaam
Ishq mein sab diwaane hain, ishq mein sab hairaan
Ishq mein sab kuch mushkil hai, ishq mein sab aasaan
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum

Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen

Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2

Sonu:
Dil toh ik raahi jaana, dil ki tum manzil ho
Dil toh hai ik kashti jaana, jiska tum saahil ho
Dil na phir kuch maange jaana, tum agar haasil ho
Dil toh hai mera tanha jaana, aao toh mehfil ho

Aftab & Hashim:
Ishq se hi saari khushiyaan, ishq hi barbaadi
Ishq hai paabandi lekin, ishq hi azaadi
Ishq ki duniya mein yaaron, khwaab ki aabaadi
Ho gaya woh jisko manzil, ishq ye dikhlaadi
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum

Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen

Chorus:
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum

Sonu:
Tumko puja hai, tumhaari hi ibaadat kee hai
Hamne jab kee hai, toh phir aise mohabbat kee hai -2
Dil mera paagal hai jaana, isko tum behlaado
Dil mein kyun halchal hai jaana, mujhko tum samjhaado
Dil ka jo aanchal hai jaana, isko tum lehraado
Zulf jo baadal hai jaana, mujhpe tum barsaado
Jaana leke jaaya hai, tera ye diwaana
Jaan tujhpe mit jaayega, tera ye parwaana
Jaana mere dil mein kya hai, tumne ye na jaana
Jaana tujhko yaad aayega, mera ye afsaana

Aftab & Hashim:
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum

Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen

Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2






Mais tocadas

Ouvir Sonu Nigam Ouvir