×
Corrigir

India Waale

Shankar Mahadevan

Ho Maane Ya Koi Maane Na,
Yahan Apni Bhi Thodi Ada, Thoda Andaaz Hai

Aise Hai Chahey Waise Hai,
Arey Jo Bhi Hai, Jaise Hai Khud Pe Hamein Naaz Hai

Jaane Na Humko Ye Zamana,
Chaho Toh Humko Aazmana
Yaar Baaz Hum Jaan Saaz, Ishq Baaz Dilwaale
Kehte Hain Humko Pyar Se India Wale
Chuu Lete Dil Ke Taar Se India Waale
Har Jeet Cheen Le Haar Se India Waale
Dushman Ke Chak-Ke Chhuda De, Hum India Waale
Dushman Ke Chak-Ke Chhuda De, Hum India Waale

Yun Toh Seedhey Bade,
Kabhi Chahey Toh Haathon Se Leke Lakeerein Chura
Ho Humko Parwah Nahi,
Jo Bhi Kehta Hai Kehne De Jag Ye Bhala Ya Burra

Jaisi Bhi Ye Marzi Ho Hamaari,
Karte Hai Aisi Hoshyaari
Par Dil Se Yaar Jo Le Pukaaar,
Toh Jaan Nisaar Kar Daale

Kehte Hain Humko Pyar Se India Wale
Chuu Lete Dil Ke Taar Se India Waale
Har Jeet Cheen Le Haar Se India Waale
Dushman Ke Chak-Ke Chhuda De, Hum India Waale
Ungli Pe Sabko Nachaa De, Hum India Waale

Aankhon Ki, Aankhon Ki Chaabi Se
Thoda Betaabi Se, Chhup Ke Se Khole Dilon Ke Taale
Jaan Dete, Usko Jahan Dete
Apna Imaan Dete, Jiski Bhi Baahein Gale Mein Daale

Duniya Se Humko Kya Le Jaana
Yaaron Ke Dil Mein Ho Thikana
Hamein Ek Baar Hota Hai Pyaar,
Ye Laakh Baar Keh Laade

Kehte Hain Humko Pyaar Se Indiawaale
Choo Lete Dil Ke Taar Se Indiawaale
Har Jeet Cheen Le Haar Se Indiawaale
Dushman Ke Chak-Ke Chhuda De, Hum Indiawaale
Dushman Ke Chak-Ke Chhuda De, Chuda De
Ungli Pe Sabko Nachaa De
Dushman Ke Chak-Ke Chhuda De, Hum Indiawaale






Mais tocadas

Ouvir Shankar Mahadevan Ouvir