×
Corrigir

Tere Liye

Lata Mangeshkar

Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye
Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye

Aa......
Zindagi, le ke aayi hai, beete dinon ki kitaab -2
Ghere hain, ab hamein, yaadein be-hisaab
Bin poochhe, mile mujhe, kitne saare jawaab
Chaaha tha kya, paaya hai kya, hamne dekhiye
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye

Kya kahoon, duniya ne kiya, mujh se kaisa bair -2
Hukam tha, main jiyun, lekin tere baghair
Naadaan hai woh, kehte hain jo, mere liye tum ho ghair
Kitne sitam, hampe sanam, logon ne kiye
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye
Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye
Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye
Tere liye -4

Composição: Javed Akhtar/Madan Mohan

Mais tocadas

Ouvir Lata Mangeshkar Ouvir