×
Corrigir

Jaana Na Dil Se Door

Lata Mangeshkar

jaana na dil se door aankhon se door jaake -2
naazook bahut hain dekho, naazook bahut hain dekho
dil ho na gam se choor

aankhon se door jaake ...

furqat ke ranj sehana aur munh se kuch na kehana -2
bichade hain aaj ham tum, bichade hain aaj ham tum
milna hain phir zaroor

aankhon se door jaake ...

(ulfat ko tum nibhaana mujhse na rooth jaana
mujhse na rooth jaana ) -2
zaalim hain yeh zamana, zaalim hai yah zamana
dil to hai beqasoor

aankhon se door jaake ...






Mais tocadas

Ouvir Lata Mangeshkar Ouvir