×
Corrigir

Hai Isi Mein Pyar Ki Abroo

Lata Mangeshkar

Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahen ke main kya karoon

Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez
Yehi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo

Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Yeh likha hai mere naseeb mein
Yoon hi shamma banke jala karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo

Na kisiki dil ki hoon aarzoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo
Main woh phool hoon jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahen ke main kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo






Mais tocadas

Ouvir Lata Mangeshkar Ouvir