×
Corrigir

Dhoom Mache Dhoom

Lata Mangeshkar

chahe koi roke re saathi, chahe koi toke re saathi
nav yug aayega - 2
tani hui baahon ka rela badhta hi jaayega
khoon maati ke bhaanv bik nahi paayega - 2
dhoom mache dhoom aaj ki raina bhor hue tak jaage jawani - 2
ho subah tak hum kahe ek kahani jhoomti dhadkanon ki zabani
dhoom mache dhoom aaj ki raina bhor hue tak jaage jawani - 2
dhoom mache dhoom

jab talak raat chale pyar ki baat chale
teri meri meri teri palken na jhapke rang lehraate rahe
ang tharrate rahed tapi tapi chehron se sholo si lapke
hoo.. toke tohri hi kasam todd mat aur zulam
hamka dai de anguthi nisaani, tori hogi badi meharbaani
aye kya samajhta hai humko re praani hamara kaata toh maange na paani
dhoom mache dhoom aaj ki raina bhor hue tak jaage jawani - 2
dhoom mache dhoom

masti kutch aur badhe nasa kutch aur chadhe
dukh waala dhyaan koii aaj hame aayena dukh jo aaye to kya
gam sataaye to kya aadami ko chaahiye ke kabhi ghabaraye na
hoo...tootne waala hai dam khaaye jaata hai ye gam
bane dulhan meri bitiya rani, umr ghar mein pade naa bitaani
hey har museebat hai aani se jaani hai ye apne guruji ki waani
dhoom mache dhoom aaj ki raina bhor hue tak jaage jawani - 2
dhoom mache dhoom

pale naa sog jaha sukhi ho log jaha
humko hai saath aisi duniya basaani dilonmein aag liye
honthope raag liye humko andheronmein hai shamme jalaane
hoo...kaale pathar ki kasam jab talak dam me hai dam
ham ye dekhenge rasme puraani, kar naa paaye yahaa huqm raani
hey aaj se hai humne dil mein thaani laayenge ek nayi rut suhani
dhoom mache dhoom aaj ki raina bhor hue tak jaage jawani - 2
ho subah tak hum kahe ek kahani jhoomti dhadkanon ki zabani
dhoom mache dhoom aaj ki raina bhor hue tak jaage jawani - 8


Your Ad here

Composição: Sahir Ludhianvi





Mais tocadas

Ouvir Lata Mangeshkar Ouvir