×
Corrigir

Toota Hua Mandir Hoon

Kavita Krishnamurthy

Toota Hua Mandir Hoon Main Kisi Ke Pyar Kaa
Jisme Koi Murat Hai Na Koi Deeya
Toota Hua Mandir Hoon Main Kisi Ke Pyar Kaa
Jisme Koi Murat Hai Na Koi Deeya
Na Koi Rasta Mera Na Meri Manjil Koi Fir
Kisliye Zinda Hoon Zindagi Ye Hai Kya Zindagi
Toota Hua Mandir Hoon Main Kisi Ke Pyar Kaa
Jisme Koi Murat Hai Na Koi Deeya
Jisme Koi Murat Hai Na Koi Deeya

Biti Hui Baaton Ki Dard Bhari Yaadein Hai
Ruth Gayi Mujhse Mere Dil Ki Khushi
Ab To Meri Aankhon Mein Aansu Hi Aasu Hai
Dubh Gaye Aansuo Mein Ye Zindagi
Kisko Hai Fursat Yaha Jo Aansu Pochhe Mere
Mein Kisko Aawaj Doon Zindagi Ye Hai Kya Zindagi
Toota Hua Mandir Hoon Main Kisi Ke Pyar Kaa
Jisme Koi Murat Hai Na Koi Deeya
Jisme Koi Murat Hai Na Koi Deeya

Shamo Shahar Ye Aankhen Kiski Raah Takti Hai
Kaun Aake Ab Mujhe Lagaye Gale
Waqt Jise Loote Yoon Jab Naseeb Ruthe Yoon
Fir Naseb Par Na Jor Koi Chale
Rasta Bhi Mera Ho Tum Manzil Bhi Meri Ho Tum
Mera Hai Sab Kuchh Tumhara Zindagi Ye Mujhe Tumne Di
Tum Hi Mere Mandir Ho Tum Hi Mere Davta
Maine Tumhe Puja Hai Raat Din Piya
Mare Man Ke Mandir Mein Bus Teri Hi Murat Hai
Dil Mein Jal Raha Hai Tere Pyar Ka Deeya
Dil Mein Jal Raha Hai Tere Pyar Ka Deeya
Dil Mein Jal Raha Hai Tere Pyar Ka Deeya






Mais tocadas

Ouvir Kavita Krishnamurthy Ouvir