×
Corrigir

Naina Tose Laage

Ghulam Ali

naina tose laage, saari raina jaage
tuune churaayi mori nindiya tuu hi chain churaaye

meri saanson mein laharaayi ang mein kushbuu ghole
mitha mitha dard jagaaye nas nas mein tuu dole
saanjh savere honthon pe bhi naam tera hi aaye

saawan maas ki dhuup sa gori tera ruup salona
ek jhalak mein kar gaya roshan man ka kona kona
rang hazaaron tuune mere jiwan mein bikharaaye

mast hawaayein shaam suhaani bhini rut ke mele
sabako teri aas ho jaise sab hain aaj akele
aangan meri tanhaayi ka tujh bin kaun sajaaye

tod ke rasmon ki zanjirein aa donon mil jaayein
sapane mahakein aashaaon ke phuul sabhi khil jaayein
jo donon ke bich hai pal mein wo duuri mit






Mais tocadas

Ouvir Ghulam Ali Ouvir