×
Corrigir

Kuchh Yaadagaar-e-shahar-e-aitamagar Hi Le Chalein

Ghulam Ali

kuchh yaadagaar-e-shahar-e-sitamagar hi le chalein
aaye hain is gali mein to patthar hi le chalein

ranj-e-safar ki koyi nishaani to paas ho
thodi si kaak-e-kuuchaa-e-dilabar hi le chalein

yuun kis tarah katega kadi dhuup ka safar
sar par kayaal-e-yaar ki chaadar hi le chalein

ye kah ke chhedati hai hamein dil-giraftagi
ghabara rahe hain aap to baahar hi le chalein

is shahar-e-be-charaag mein jaayegi tu kahaan
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hi le chalein






Mais tocadas

Ouvir Ghulam Ali Ouvir