×
Corrigir

Mohabbat Ho Na Jaaye

Abhijeet

Tu kya mil gayi yeh samaa rangeen ho gaya
Sehra mein jaise khil gaya ho gul naya
Ae meri jaane jaan, hai tujhe kya pataa
Tere husn ka mujhpe nasha chhaa gaya
Mujhpe nasha chhaa gaya
(Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye
Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye)

Haan, ho

Aaj kal kya bataaoon, madhosh ho gayi hoon
Mehsoos ho raha hai, main kahin kho gayi hoon

Khoya mera bhi dil hai, bechain yeh dhadkan hai
Kya yehi hai mohabbat, kaisa deewanapan hai

Ae mere jaane jaan, hai tujhe kya pataa
Haal mere bhi dil ka hai kuch aap sa
Dil ka hai kuch aap sa
Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye

Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye

Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye

Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye

Tune jo chhoo liya to khil gayi dil ki kaliyaan
Teri aankhon mein mujhko mil gayi meri duniya

Yun to laakhon haseen hai, tujhsa koi nahin hai
Jiski khwaaish thi mujhko, jaane jaan tu vohi hai

Ae mere jaane jaan, sun tera shukriya
Mil gaya tere dil mein mujhe aashiyaan
Dil mein mujhe aashiyaan

Ae meri jaane jaan, aa gale se lagaa
Daake mil jaaye mujhko zameen aasmaan
Mujhko zameen aasmaan
Mohabbat, mohabbat, mohabbat

Qayaamat, qayaamat, qayaamat

Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye
Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye

Tu kya mil gaya yeh samaa rangeen ho gaya
Sehra mein jaise khil gaya ho gul naya
Ae mere jaane jaan, hai tujhe kya pataa
Tere ishq ka mujhpe nasha chhaa gaya
Mujhpe nasha chhaa gaya

(Hey eh eh eh)
Mohabbat, mohabbat

Qayaamat, qayaamat

Mohabbat, mohabbat
Qayaamat, qayaamat

Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye
Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye

(Hey hey hey hey eh eh eh eh hey hey hey
Aah aah aah aah aah aah aah aah aah aah)






Mais tocadas

Ouvir Abhijeet Ouvir