×
Corrigir

Badi Mushkil Hai

Abhijeet

Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Jaake kahan main rapat likhaaoon
Koi batlaaye na
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Jaake kahan main rapat likhaaoon
Koi batlaaye na
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
Deewaangi ki had se aage guzar na jaaoon
Aankhon mein uska chehra, kaise usse dikh laaoon
Voh hai sab se haseen, vaisa koi bhi nahin
Mere khuda, uski ada hai badi qaatil
Mujhe nahin pata chhaaya hai kya nasha
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
Sapnon mein aane waali baahon mein kab aayegi
Kitne dinon tak mujhko aise voh tadpaayegi
Dekhoon mudke jidhar, paaye voh hi nazar
Meri dagar, mera safar, voh meri manzil
Deewaana hai sama, jaage hain armaan
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon
Badi mushkil hai, khoya mera dil hai
Koi usse dhoondke laaye na
Jaake kahan main rapat likhaaoon
Koi batlaaye na
Main roun ya hasoon, karoon main kya karoon

Composição: Anand Bakshi/Anand Milind





Mais tocadas

Ouvir Abhijeet Ouvir